Thursday, 5 March 2015

Lamhein

Aaj hazaaron lamhein guzarte hue
Kal ki kuch yaadein ban jaaengi
Jaise guzare hue kal ki tasveerein
Aaj bhi aankhon ke pardo par chhaye hain

Aaj k din me beete wo pal
Jo saath liye hai unn sab logon ko
Jo baithe hai door ekal
Zindagi paani ki tarah behti jaegi
Samay uss hawa ki tarah uddta jaaega
Na ruke hai ye saathi aajtak kisi ke intezaar me
Aur naa kal rukenge ye har pal ki tarah

Lamhein guzarte jaa rahe hai
Haathon me raet ke har kad ki tarah
Khoobsoorat ehsaas tou wo hai aaj,
Jo kal ke saaye me basee har lamho me humare, chand kuch log
Unhi ke sang yaad karte rahenge wo pal sada....!!

No comments:

Post a Comment